All that Glitter's is Gold


aksar main waqt se jab batein karta hoon ...
umeed ke buland sitaron ko jab falak se jhaak kar dekhta hoon ...
unhe gardish main kahin chup chap chupe nazar paata hoon ...
kaash mere pankh hote uski khusboo ki talash main awara udta ...
uske husn ko ek baar phir nazron main kaid kar leta ...
har khushi har gum se phir begana phirta ...
har sharam har nazar ko phir chori kar leta ...
mere dost mere waqt main tera rahnugar hoon ...
manzil kitni hi door sahi rasta kitna kathin hi sahi ...
isbar tu dekh tujhse teez main udta hoon ...
aksar main waqt se jab batein karta hoon ...



copyright @ Shivam Anand

0 comments:

Post a Comment